Friday, August 28, 2015

Ahadees

Hazrat Muaz Bin Jabal Radiyallahu Anhu ko Jab Yaman Bhejne Ka Irada Farmaya To Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Poocha:
"Masla Paish Hoga To Kese Faisla Karoge?
Arz Kiya; ALLAH Ki Kitab Se,
Farmaya; Agar Kitabullah Me Na Paao To?
Arz Ki; Nabi Ki Sunnat Se,
Farmaya; Agar Sunnat Me Bi Na Paao To?
Arz Ki; Apni Raaye Se Ijtihad Karunga
Phir Aap Sallallahu alaihi wasallam ne Seene Ko Thapkaya Aur Kaha
Khuda Ka Shukar Jisne Rasoolullah Ke Bheje Huye Ko Is Cheez Ki Toufiq Bakshi Ke Jo ALLAH Ke Rasool Ko Khush Karey
(Abu Dawood V3, H#196, P78)
(Tirmizi V1, H#1338, P669)
(Ibne Maja)
Aur bahut si hadees ki kitabon me ye hadees hai. Aur ye hadees Sahi aur Hasan sanado se riwayat kee gayi hai. Isme kisi ka ikhtilaaf nahi hai.

Ummate Muhammadiya ke 73 firqe ki hadees:
Abdullah Bin Amr Bin Aas razi Allahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:

وَإِنَّ بني إسرائيل تَفَرَّقَتْ عَلَى ثِنْتَيْنِ وَسَبْعِينَ مِلَّةً، وَتَفْتَرِقُ أُمَّتِي عَلَى ثَلَاثٍ وَسَبْعِينَ مِلَّةً، كُلُّهُمْ فِي النَّارِ إِلَّا مِلَّةً وَاحِدَةً»، قَالُوا: وَمَنْ هِيَ يَا رَسُولَ اللَّهِ؟ قَالَ: «مَا أَنَا عَلَيْهِ وَأَصْحَابِي»

Tarjuma: "Bani Israil me 72 firqe hue aur meri Ummat me 73 firqe honge, wo Sab Naari aur Dozakhi honge magar 1 Firqe ke. Sahaba razi Allahu anhum ne arz kiya Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam! Wo 1 firqa kaunsa hai jo Dozaq se mehfooz rahega? Ap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya, wo firqa Naajiyah(najaat paanewaala) wo Firqa hai jo mere AUR Mere Sahaba razi Allahu anhum ke TAREEQE par hoga."(Tirmizi 2641,  Kitabul Emaan H#2565, Ahmad, Abu Dawood)

Note: Ye hadees bahut saare hadees ki kitabon me alfaaz aur sanad ke farq se waarid hai..

No comments:

Post a Comment