Wednesday, August 19, 2015

Aye zindagi gale lagaale!!


Pyaas lagi thi gazab ki....magar pani me zeher tha
Peetay tho marjatay aur na peetay tho bhi marjatay..ll

Bas yahi do maslay zindagi bhar na hal hue
Na neend poori hui...na khwaab mukammal hue..ll

Waqt ne kaha....kaash thoda aur sabr hota
Sabr ne kaha...kaash thoda aur waqt hota..ll

Subah subah uthna padta hai kamaane k liye saaheb..
Aaram kamaane nikalta hu aaram chodkar..ll

"Hunar" sadko par tamasha karta hai....aur kismat mehlon me raaj karti hai..ll

Shikayate tho bahot hai tujhse aye zindagi, par chup isliye hun ke jo diya tune wo bhi bahuto ko naseeb nahi hota....ll

Daulat ki bhuk aisi lagi ki kamane nikal gaye,
Jab daulat mili toh hath se rishte nikal gaye,
Bachon ke sath rahne ki fursat na mil saki,
Fursat mili to bache khud kamane nikal gye.

No comments:

Post a Comment