Thursday, March 26, 2015

Kitnaa hai bad_naseeb "Zafar" dafn key liye

Lagtaa nahin hai dil meraa ujday dayaar mein 
kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein 

kah do in hasraton se kahin aur jaa basein 
itani jagah kahaan hai dil-e-daagdaar mein 

umr-e-daraaz maang kar laaye they chaar din 
do arzoo mein kaT gaye do intezaar mein 

kitnaa hai bad_naseeb "Zafar" dafn key liye 
do gaz zamin bhi na mili kuu-e-yaar mein 

Wednesday, March 25, 2015

Zindagi - Ek naya definition


Woh kare baat toh har lafz se khushboo aaye, Aisi boli wohi bole jise Urdu aaye. -Poet Ahmed Wasi

Zindagi kya hai anasir mein zahur-e tarteeb,
Maut kya hai ini ajza ka pareshan hona

What is life, but a manifestation of orderliness and method in elements
What is death, but chaos within these same elements

Zahoor- revelation, manifestation; Tarteeb – orderliness, arrangement; Anasir – elements; ajza – parts