Monday, August 11, 2014

Aqwale Zareen - Hazrat Ali Radiyallaho Anhu's sayings

1) Bewqoof aurat Apne shohar ko apna Ghulam banati hai aur khud Ghulam ki Biwi ban jati hai..
Jab ke aqalmand aurat apne Shohar ko Badshah banati hai aur khud Badshah ki Mallika banjati hai..

2) Agar kisi ka zarf aazmana ho to usko zyada izzat do... Woh alaa zarf hua to aap ko aur izzat dega aur kam zarf hua to khud ko AALA ZARF samjhega...

3) Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho. Kyun ke jhukta wohi hai jis me jaan hoti hai. Akadna to murday ki pehchaan hoti hai...

4) Dua mangte raho kyun ke mumkin aur na mumkin to sirf hamari soch me hai, ALLAH (S.W.T) ke liye to kuch bhi na mumkin nahi...

5) Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo kyun ki taqdeer to khud himmat ki mohtaaj hoti hai...

6) Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak say darwaza khul hi jata hai...

7) Dukh me tum kabhi bhi pachtawe ke aansu na bahao kyun ki tum wo khush naseeb ho jise ALLAH ne aazmaish ke qaabil samjha hai...

8) Jo tumhe khushi mein yaad aaye, samjho tum us se mohabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye to samjho woh tum se mohabbat karta hai...

9) Rishton ki khoobsurti ek dosre ki baat ko bardasht karna hai...Be-aeb insaan talash mat karo warna akele reh jaoge...

10) Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho, to usay zaroor pa lena jo tumhe chahta hai kyun ki chahne se chaahe jane ka ehsas zyada khoobsurat hota hai...

11) Logon ke khauf me aa kar haq goyi se na rukna, yaad rakho na to koi maut ko qareeb kar sakta hai aur na rizq ko door kar sakta hai...

No comments:

Post a Comment