Thursday, December 24, 2015

jurm-e-ulfat pe hame.n log sazaa dete hain


jurm-e-ulfat pe hame.n log sazaa dete hai.n
kaise naadaan hai.n, sholo.n ko havaa dete hai.n

hamse diivaane kahii.n tark-e-vafaa karte hai.n
jaan jaaye ki rahe, baat nibhaa dete hai.n

aap daulat ke taraazuu me.n dilo.n ko tole.n
ham muhabbat se muhabbat ka silaa dete hai.n

takht kya chiiz hai aur laal-o-javaahar kya hai?
ishqvaale to khudaayii bhii luuTaa dete hai.n

hamne dil de bhii diyaa, aur ahad-e-vafaa le bhii liyaa.
aap ab shauq se de le.n jo sazaa dete hai.n

jurm-e-ulfat pe hame.n log sazaa dete hai.n

Ye ulfat-o-Muhabbat hame apne us mehboobe haqeeqi se hai....jo jameelushiyam hai...Khatamunnabi hain. Hamaare Nabi hain. Sallallaho alahi wa aalehi wasallam.

Rough Translation
People punish me for the offenses I have committed in love
How naive they must be, for they are only adding air to a burning flame.

Elsewhere, people crazier than I put an end to their love.
Whether I live or die, I will remain faithful to my word.

You may weigh hearts on scales of wealth,
But I respond to love with love.

What is the value of thrones and rubies?
Lovers can sacrifice even divinity.

I have already given my heart and taken a vow of loyalty.
Now, with pleasure, you may deliver my punishment.

People punish me for the offenses I have committed in love.



No comments:

Post a Comment