Thursday, March 26, 2015

Kitnaa hai bad_naseeb "Zafar" dafn key liye

Lagtaa nahin hai dil meraa ujday dayaar mein 
kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein 

kah do in hasraton se kahin aur jaa basein 
itani jagah kahaan hai dil-e-daagdaar mein 

umr-e-daraaz maang kar laaye they chaar din 
do arzoo mein kaT gaye do intezaar mein 

kitnaa hai bad_naseeb "Zafar" dafn key liye 
do gaz zamin bhi na mili kuu-e-yaar mein 

No comments:

Post a Comment