Tuesday, October 25, 2011

Magar hum se Khuda ki zaat pehchani nahin jati..!

Sharafat soz tasveeron ki uryani nahin jati
Adaab ki aar main Targheeb-e-roomani nahin jati
KHUDA maloom nasal-e-nauu ka kia anjam hona hai
Watan se fasah naghmo ki farawani nahin jati
Azab aaye to us main saienkron ki jaan jati hai
Nahin jati to shaitano ki shaitani nahin jati
Kahin basti ki basti bond pani ko tarasti hai
Kahin barish barasti hai to tughyani nahin jati
Zamana is qadar qaail hwa ha jhoote logon ka
Jo sach kehte hain unki ek bhi maani nahin jati
Jahan k zarre zarre se numayan hai jaalal Uska
Magar hum se Khuda ki zaat pehchani nahin jati..!

No comments:

Post a Comment