yahan apni apni bari par sab hansty hain sab roty hain
dil to sab ka hota hai dukh bhi sab ke hote hain
kuch ashk dilon pe girte hain kuch mitti main mill jaate hain
kuch lafz ada ho jaate hain kueh honton main sil jaate hain
mana k adhure rehty hain par khwaab to sab ke hote hain
kuch kho kar bhi pa lete hain
kuch log bht yad ate hain
wo pal bhar ki narazgiyan aur maan bhi jana pal bhar main
ab khud se jab bhi roothun to kuch log bohut yaad ate hain
No comments:
Post a Comment