Likha hai Ek ZAIFA Thi, ke jo MAKKAH mein rehti thi
Wo in batoon ko sunti thi, magar khamoosh rehti thi
Wo sunti thi MUHAMMED(SAW) hai, koi HASHIM Gharane me
Wo kehta hai KHUDA bas EK hai, saare zamaane mein
Wo sunti thi 'HUBUL ki 'LAAT' ki tazleel karta hai
Wo apne haq ke farmane ki youn tameel karta hai
Wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulaam uska
Musalman ho hi jaata hai jo sunta hai kalaam uska
Likha hai wo zaifa ek din KA'BA mein ja pahunchi
HUBUL ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi
Mein tujhko poojti hoon aur khuda bhi tujhko kehti hoon
Bada Afsos hai jo aaj kal mein ranj sehti hoon
Wo gham ye hai MUHAMMED(SAW) hai koi Hashim Gharane mein
Wo kehta hai KHUDA bas EK hai saare zamane mein
Mita do uski hasti ko mile tujko inaam uska
Jigar chalni hua jata hai sun sun kar kalaam uska
Dua kar ke uthi sajde se aur wo apne ghar aayi
Samjhti thi ye dil me ab meri ummeed bar aayi
Zaifa ko khushi thi ab HUBUL bijli gira dega
MUHAMMED(SAW) to MUHAMMED(SAW) sathiyon ko bhi mita dega
Magar kuch din guzarne par na jab ummed bar aayi
Dua kar ke hubul se apne dil mein khoob pachtai
Gharaz tarkeeb usne sochli ye khud hi ghar aa kar
Ke chodongi ye basti mein rahongi aur kaheen ja kar
Gharaz ek din subah ko usne apne ek gathri li
Nikal kar ghar se apne aur darwaze pe aa baithi
Zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai
Usey ye kya khabar thi ek khuda ka NOOR milta hai
Fariza subeh ka karke ada sarkare do aalam
Chale jate the KA'BA ki taraf wo rehmat e aalam
Jalu mein aap ke shams o khamar maloom hote the
paye tasleem sajde mein shajar maloom hote the
Zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrai
Yaka yak samne se chand si surat nazar aayi
Zaifa ne kaha, "baita yahan aana bata kya naam hai tera."
Kaha, "mazdoor hoon amman bata kya kaam hai tera."
Kaha, "mazdoor hai gar tu, to chal gathri meri lekar,
Mein khush kardongi aye mazdoor mazdoori teri dekar."
Ye sunkar aapne gathri utha kar apne sar par li
Zaifon ki madad karna ye aadat thi paighambar(Prophet) ki
Gharaz gathri ko lekar manzil e maqsood par aayi
Kaha dil se ke aye dil ab teri ummed bar aayi
Kaha, "beta jo thi dil me tamanna ho gayi puri
MUHAMMED(SAW) to MUHAMMED(SAW) saathiyon se hogayi duri."
Lagi dene jo mazdoori Zaifa aapko us dam
Toh farmane lage us dam huzur e sarware aalam,
"Ye koi kaam hai amman mein lon ab jiski mazdoori.
Koi gar aur qidmat ho to wo bhi mein karon puri."
Ye farmate hoye ki aapne jane ki tayyari
Zaifa se ijazat chahte the rehmat e baari
Zaifa ne kaha, "baita zara thairo chale jana.
Mujhe ek baat kehni hai zara sunkar chale jana.
Yaqeen jano ke ab makkah mein jhagda hone wala hai.
Mein samjhati hoon tujhko isliye to bhola bhala hai.
Wo Makkeh mein, khabeela HASHIMI naam o laqab wale.
Wohi beta jo hain SARDAR ABDUL MUTALLIB wale.
Unheen mein ek jawan hain jo suna jata hai saher hai.
Ke is fan mein magar beta wo apne khoob maheer hai.
Wo sar hota hai jiske sukh mein ulfat bo ke rehta hai.
Jo sunta hai kalaam uska wo uska ho ke rehta hai.
Hamesha bach ke chalna usse bole koi naam uska.
Nasihat hai yahi meri na sunna tu kalaam uska."
NABI budhiya ke dil mein noor e wahdat bharne wale the
Nasihat sun rahe the jo nasihat karne wale the
Zaifa ne kaha, "baita bhala kya naam hai tera?
Tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera?
Kaha Hazrat ne budhiya se, "tujhe kya naam batlaaon!
Mein kya kaam batlaon, mein kya anjaam batlaon!
Main banda hoon khuda ka, aur mujassam NOOR EZAD hoon.
Kaha gardan jhuka kar aapne mein he MUHAMMED(SAW) hoon.
Main hoon masoom duniya mein mera dushman zamana hai.
KHUDA WAHID hai aalam mein, mujhe bas ye batana hai.
Ye sunna tha ke bas aankhon se aansu ho gaye jaari
NABI ke ishq ki ek chot(ZAKHM) si dil par lagi kaari
Zaifa ne kaha, "beta karo mushkil meri aasaan,
Main aisi JEET ke sadqe mein aisi haar ki qurbaan."
Hua phir haal bar uske jo fazle deezane bari
Zaifa ki zubaan se khud ba khud kalma hua jari... ___La iLaha iLLal-lahu. Muhammadur Rasoolullah____
No comments:
Post a Comment